Subscribe:

HINDI DOSTI SMS


2012 :



1. Tagdeer k rang
    Kitne ajeeb hai,
    Anjane rishte hai
    Phir bhi karib hai,
    Har kisi ko 
    DOST aap jaisa nahi milta,
    Mujhe anjane me aap mile 
    Ye mera naseeb hai.


2. Bhool jana use 
    Jo tumhe bhula de,
    Mat dekhna use 
    Jo tumhe rula de,
    par kabhi na hona
    door usse,
    Jo apni ankhe bhigokar bhi
    Tumhe hasa de. 


3. Tum kya jaano kya hoti hai
    Tanhai,
    Tute hue patto se puncho kya hoti hai
    Judai,
     Yu bewafai ka ilzam na laga 
     Dost,
     Waqt se punch kis waqt teri
     Yaad na ayi.


4.  Aaj-Deedar, kal-yaar, parso-pyaar, 
     Fir-ikrar, fir-intezaar, fir-takrar, fir-daraar,
     Sari mehanat bekaar, wo kisi aur ke saath faraar,
     isliye dosti best hai mere yaar.


5. Taqdeer k rang kitne
     Ajeeb hai,
     Anjaane riste hai 
     Phir bhi kitne karib hai,
     Har kisi ko 'Dost'
     Aap jaisa nahi milta,
     Mujhe anjaane me aap mile 
     Ye mera naseeb hai. 


6. Kuch yaden
    Yaad rakhna,
    Kuch baten
    Yaad rakhna,
    Hum umar bhar saath rahe
    Ya na rahe,
    Hum saath the kabhi 
    Ye umar bhar yaad rakhna.


7.  Apki yaadon ki mahak in hawaon me hai,
     Aapki yaadon ki mahak in fizaon me hai,
     Khusiyan apke kadam chume "mere dost"
     Bas yahi sapna in nigaho me hai.
    
8.  Waqt ke toofano me
      Bikharte chale gaye,
      Zindagi ki gahraiyo me 
      Utarte chale gaye,
      Jannat thi har shaam
      Jin dosto ke saath,
      Ek ek karke sab 
      Bichadte chale gaye.


9. Dosti imtehan nahi
    Pyar mangti hai,
    Najar kuch nahi 
    Dost ka didaar mangti hai,
    Zindagi apne liye kuch bhi nahi lekin,
    Aapke liye dua hajar mangti hai.


10. Apki dosti ne hume bahut kuch shikha diya,
      Khamosh lamho ko muskurana shikha diya,   
      Karjdaar ho gaye hum us khuda ke
      Jisne aapko hamara dost bana diya.. 


11. Kya tarif karo aapki,
      Har afz me jaise khushbu ho gulaab ki,
      Rab ne diya hai itna pyara dost,
      Bas tamanna hai ek mulakat ki.


12.Dost hai to asuo ki bhi saan hoti hai,
     Dost na ho to bahari mahfil bhi samsan hoti hai,
     Ye sara khel to dosti ka hi hai,
     Warna janaja aur barat ek saman hoti hai.


13. Doori ho to ye ehsas hota hai,
      Dost ke bina jivan kitna udas hota hai,
      Umar ho apki sitaro jitni lambi,
      Aap jaisa dost kaha har kisi k pass hota hai.


14. Dosti dill hai
      Dimag nahi,
      Dosti soch hai 
      Awaj nahi,
      Koi ankho se nahi dekh sakta 
      Dosti ke jajbaat ko,
      Kyunki dosti ehsas hai
      Andaj nahi.


15. Tum dost ho mere sada k liye,
       Main jinda hoon teri wafa k liye,
       Kar lena lakhon shikwa mujhse magar, 
       Na hona khafa khuda k liye.


16. Hum jab bhi aap ki duniya se jayenge,
      Itni khushiyan aur apnepan ko chod jayenge,
      Ki jab yaad karoge is pagal dost ko, 
      Hasti hui ankho se bhi ansoo nikal ayenge.


17. Asman se tod kar "tara"  iya hai,
      Aalam-e-tanhai me ek sahara diya hai,
      Meri kismat bhi naaj karti hai mujh pe,
      Khuda ne "dost" hi itna pyara diya hai.

18. Kuch ehsaso k saaye dill ko chu jaate hai,
      Kuch manzar dill me utar jate hai,
      Bejaan gulsan me bhi phool khil jaate hai,
      Jab zindagi me ap jaise dost mil jate hai.


19. Ek ada apki 
      Dill churane ki,
      Ek ada apki 
      Dill me bas jane ki.
      Ek khwahis kuch
      Kar jaane ki,
      Ek hasrat umar bhar
      Dosti nibhane ki. 

20. Ye dosti k rishte bhi kitne ajeeb hote hai,
      Sabke apne apne naseeb hote hai,
      Rahte hai jo nigaho se door 
      Vo hi dill k sabse karib hote hai.






2011 :



1. dosto k bina zindagi wiran hoti hai  .
    akele har rah sunsan hoti hai ...
    ek pyare se dost ka hona zarori hai..
   Qki uski dua se har muskil aasan hoti hai.

2.Apani dosti phoolo ki tarah na ho
    jo ek bar khile aur phir murjha jaye
    balki kaato ki tarah ho
    jo ek bar chubhe to bar bar yaad aaye…


3. Khushiyon par fizaon ka pehra tha,
    Na jane kis umeed pe dil thehra tha,
    Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
    Yeh dosti ka rishta pyar se gehra tha…



4.Har koi Pyar Ke Liye Rota hai,
   Har koi Pyar Ke Liye Tadapta hai,
   Mere Pyar Ko Galat Mat Samajhna
   Pyar To Dosti Mein bhi Hota Hai…

5.Dosto ki ulfat se mujhe inkar nahi,
   Kon kehta hai k mujhe dosto se pyar nahi,
   Dosto se wada he sath nibhane ka,
   Per mujhe apni sanso pe aitbar nahi…
 
6.Kon Kehta Hai Dost Tumse Humari Judaai Hogi,
   Yeh Afwaah Zaroor Kisi Dushman Ne Uraayi Hogi,
   Shaan Se Rahen Ge Tumhare Dil Me Hum,
   Itne Din Me Kuch To Jaga Banai Hogi…
 
7.Jab chla chor k batlane ki zehmat bhi na ki,
   Khob tha dosti ek arsa nibhanay wala,
   Dushmani k bhi tu aadaab hain aey dost bata,
   Koi itna bhi na tha tujh ko batanay wala…

8.Kehte hai dil ki baat har kisi ko kahi nahi jati.
   Apno ko bhi batayi nahi jati.
   Par DOST to ayina hote hai
   Aur ayine se koi baat chuppai nahi jati…

9.Zindgi mein kuch na pa sake to kya gam hai
   tere jaisa dost paya yeh kya kam hai
   ek choti si jagah pai hai jo apke dil mein
   vo kya kisi “Taj Mahal” se kam hai…

10.Kisi bhi mushkil mod per
     Hum na kahenge AAPKO….”C U”….
     Rahenge sath hamesha ME & U…..
     Kal hum na rahe DUNIYA me to
     Rakh kar fool meri kabar pe
     KAHNA STUPID “I MISS U
11.Dost tera bahut sahara hai
     Warna is duniya mein kaun hamara hai
     Log marte hai maut aane par
     Hamay to aapke dosti ne mara hai…

12.Dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka
     Dosti raaz hai sada muskurane ka
     Ye koi pal bhar ki pehchan nahi
     Dosti naam hai umar bhar sath nibhane ka…
 
13.Dost dil todna hamari aadat nahi
     Dil hum kisi ka dukhate nahi
     Bharosa rakhna meri dosti par
     Dil mein basakar hum kisiko bhulate nahi…

14.Hum Hawa Nahi Jo Kho Jayenge,
     Hum Waqt Nahin Jo Gujar Jayenge,
     Hum Mausam Nahin Jo Badal Jayenge,
     Hum To Aansu Hain Jo Khusi Aur Gum Dono Me Nzar Aynge…
 
15.Asman ko nind aya to sulao kahan
     Dharti to maut aye to dafanau kahan
     sagar main lehar uthe to chupau kahan
     Aap jaise dost ki yad aye to jau kahan!
 
16.Duriyon ki na parwah kiya kijiye,
     Dil jab bhi pukare bula lijiye,
     Hum door jyaada nahi aapse,
     Bas apni aankhon ko palko se mila lijiye…

17.Dosti ka haq hum yun ada karte hain,
     aap ke naam ye jaan fida karte hain,
     aap ko phool ka zakhm bhi na anay paye,
     khuda se hum yahi dua karte hain!!!!
 
18. Dosti hoti nahi bhool jane ke liye,
     dost hote nahi bichhad jane ke liye,
     dosti karke khush rahoge itna ki,
     waqt nahi milega aansu bahane ke liye…
    
19.Har kadam per imtehaan leti hain zindigi,
     Har waqt naye sadme deti hain zindigi,
     Per zindigi se shikwa kaise kare hum???
     Aap jaise dost bhi to deti hain zindigi…
 
20. Tum se na mile, koi gam nahi,
     bas baat kare yeh milne se kam nahi,
     Dosti mein dhokha de woh hum nahi,
     aur humari dosti “Rang De Basanti” Se kam nahi…
 
 21.Yeh dunia ajib si lagti hain,
      apni baat hue muddat si lagti hain,
      jab sochte hain zindigi k baare mein ,
      tumhari dosti jarrorat si lagti hain…


22.Log kehte hain ki achche log mar k sitare ban jaate hain,
     magar hum kehte hain k achche sitare gir k……….
     aap jaise
     dost ban jaate hain…
 
23.Na khuwaish hai sitaron ki ,
     Na tamanna hai baharon ki ,
     Bas aik aap jaisa dost mil jayay ,
     Jo mat maar day saron ki …..
 
24.Log kehtay hain ke dosti itni na karo
     ke woh dil pe sawar ho jaye..
     Hum kehtay hain ke dosti itni karo
     ke dushman ko bhi pyaar ho jaye..

25.Kash sach yeh mera sapna ho jaye,
     Jaan se bhi pyara dost apna ho jaye,
     Khuda hamari dosti sada salamat rakhe,
     Varna lafz-e-dosti hi fanaa ho jaye.

26.Chand ne rabse chandni mangi,
     Suraj ne rabse roshni mangi,
     Rab ne poocha hamari chahat,
     Humne sirf apki dosti mangi…


27.Hum apni dosti ko yaadon mein sajaenge,
     dur rehkar bhi band ankhon mein nazar aenge,
     hum koi waqt nahi jo bhool jaenge,
     jab yaad karo a jaenge…


28.Teri dosty mein kuch aisi baat hai….
     Har waqt tere yaad mere saath hai….
     Dil chahta hai ki tujhe tujhse hi churalu
     Par…
     Mummy kehti hai chori karna buri baat hai..!!


29.Friendship is not about “I am sorry”, it is about “Kaminey, sab teri galti hai”..
     It is not about “I am here for you”, it is about “Kahan hai saale”..
     It is not about “I understand”, it is about “Sab teri wajah se hua manhoos”..
     Happy Friendship Day 2012!!


30.Aapki dosti ko ehsaan maanate hai, 
     Nibhana apna imaan maanate hai, 
     Lekin ham wo nahi jo dosti me apni jaan de denge, 
     Kyonki dosto ko to ham apni jaan maante hai.

31.Aap hi hamaari dil nashi hai, 
     Aap hi hamaari har khushi hai, 
     Kar lijeeye kubool hamaari dosti, 
     Kuch hi palo ki to zindagi hai.

32. Doston ki kami ko pehchaante hai ham, 
       Duniya ke gamo ko bhi jaante hai ham,
       Aap jaise doston ka sahara hai,
      Tabhi to aaj bhi haskar jeena jaante hai ham.