1. Faasle hokar bhi
Humesa pyaar rahega,
Ye rista humesa
Barkarar rahega,
Bichad gaye agar kabhi
Waqt ki sajio se,
To in aankho ko humesa
Aapka hi intzaar rahega.
2. Ankho me unka
Intezaar bahut hai,
Bikharne ke liye unka ek
Inkaar bahut hai,
Hum nahi jaante unke dill me
Kya hai,
Bas itna jante hai ki
Hame unse
Pyaar bahut hai.
3. Hichkichate hue mile the unse
Kya pata tha wohi zindagi k maayne ban jayenge,
Kuch yaad rahe na rahe zindagi me
Par aap hamesha yaad ayenge.
4. Nadiyo se Kinaare toot sakte hai,
Asman se taare toot sakte hai,
Magar iss bat ki kabhi ummed mat karna ki
Hum apko yaad karna bhool sakte hai.
5. Lafzo me Fasane
Dhoondhte hai,
Lamho me Zamane
Dhoondhte hai,
Wo zahar bhi de magar
Pyar se,
Hum to unhi par Fanah hone k bahane
Dhoondhte hai........
6. Kabhi dill me
Muskura kar dekhiye,
Hamari gazal
Gunguna kar dekhiye,
Hum bhool jayenge apko
Ek shart par,
Pahale aap hume bhula kar dekhiye.......
7. Kisi apne ko wo Khona kya jane,
Bina need ke wo sona kya jaane,
Unhone mahfilon me muskuraate dekha hai,
Meri tanhai me wo rona kya jaane.
8. Yu mohabat amar nahi hoti,
Jab tak ek dusare ki fikar nahi hoti,
Yu to tumse sikwe hazaro hai,
Magar tum bin zindagi sabar nahi hoti.